Roze Pe Mustafa Ke Udasee Si Chaaie Hai
Kunbe Ku Khoke Zainabe Nashaad Aaie Hai
Rokar Pukari Nana Aay Faryad Laaie Hoon
Mai Choor Kar Hussain Ku Jungal Main Aaie Hoon
Nana Ajeeb Saanahai Ham Par Guzar Gaya
Ranj-O-Alam Ne Gher Liyaa Hum Jidhar Gaye
Nana Khudaa Kai Ghar Mai Na Hum Ku Amaan Mili
Bhaaie Ne Shahar Choor Ke Jangal Ki Raah Li
Nana Hamain Na Chain Mayassar Kahain Huwa
Paani Bhi Bandh Hum Pai Layenoon Nai Kardiya
Nana Tumhari Aal Pai Kya Kya Sitam Huwai
Bachai Tarap Kai Mar Gaye Paani Kai Waastai
Nana Shaheed Ho Gaye Bhayee Kai Jaannisar
Ek Ek Kar Kai Mar Gaye Ashab-e-Zee Waqar
Nana Bala Kai Ban Main Qayamat Ka Run Pada
Bhayee Sai Bhayee Baap Sai Beta Bichar Gaya
Nana Zameene Karbobalaa Laa Hogayi
Qasim Ki Laash Ghooron Se Paamaal Hogayi
Nana Kataa Ke Shanon Ku Abbas Margaye
Ghurbat Me Bhaaijaan Ko Be Aas Kargaye
Nana Tumhari Shakl Ka Farzand Ek Jo Tha
Khaa Kar Sina Jigar Mai Wo Mehru Bhi Chal Basa
Nana Shaqi Ki Teer Se Asgar Huwa Shaheed
Aisa Huwa Na Hoga Jahaan Main Sitam Shadeed
Nana Hussain Bai Kas-O-Bai Yaar Hogaie
Aamada Qatl Karnai Ku Kuffar Hogaie
Tarpai Jo Zer Khanjare Bai Aab Shahai Deen
Shirme Layeen Kai Zulm Sai Thar Ra Gaye Zameen
Nana Hamare Ghar Ka Sab Asbab Lut Gaya
Nana Hamare Sar Pe Na Baqi Rahee Rida
Nana Hazaar Tarha Jafa Ki Layeeno Ne
Khaimo Mai Aag Lagaadi Laeeno Ne
Nana Huwi Aseer Tumhaari Nawasiyaan
Kauno Makaan Main Chaa Gayi Gham Ki Udaasiyaan
Nana Haram Hussain Kai Bazaar Main Gaye
Hum Sar Barehna Kufe Ke Darbar Main Gaye
Nana Tumhaari Aal Gayi Mulke Shaam Mai
Pohnchi Ali Ki Betiyaan Darbaare Aam Mai
Nana Haqeer Sahebbe Tatheer Hogaye
Ham Log Shehr Shaam Main Tash-Heer Hogaye
Nana Aseer Bara Thai Hum Ek Thi Rasan
Baandhe Gaye Thai Misle Gunaahgaar-e-Khastatan
Nana Hum Apne Haal Pe Rote Thai Zaar Zaar
Nana Hamaare Roonai Pe Haste Thai Badshaiaar
Nana Ajeeb Haal Hamaaraa Tha Us Ghadi
Ek Bibi Pichhe Dusri Bibi Kai Chupti Thi
Us Wakt Thar Thari Si Merai Tan Main Par Gayi
Sad Haif Hai Zammen Main Zainab Na Ghar Gayi
Itne Me Ek Shaami Nai Nana Ghzab Kiya
Saidani Ku Kaneezi Main Apni Talab Kiya
Hoti Thi Laakh Zillaten Hum Dekhte Rahe
Hans Hans Ke Taaziyaane Sitam Jhelte Rahe
Nanaa Tabaah Hoke Ham Aaye Hain Shaam Se
Ek Daaghe Nau Sakina Ka Laaye Hai Shaam Se
Nana Hamare Tan Pe Nishaano Ko Dekh Lo
Ab Tak Hai Neel Rassi Ke Shaanon Ko Dekh Lo
Zainab Dekha Kai Shanoon Ku Jab Karrahi Thi Bayaan
Tharaa Rahaa Tha Rouzae Sultaane Mashraqain
Bas Khatm Kar Nashar Ye Ghamnaak Daastaan
Rotai Hain Is Alam Main Zameen Aur Aasmaan