Tuesday 22 January 2013

SALAM -I- AKHIR



Jan 20, '13 11:07 AM
for everyone





Ruler is Hussain, Emperor is Hussain,
Faith is Hussain , guardian of faith is Hussain .
Offered his head and not the hand to Yazid.

Indeed, Hussain is the foundation of La-ilah (the
declaration that none but God is Absolute and Almighty)
SALAM-I-AKHIR
Syed Nasir Jahan’s soulful recitation of 
written by:Aal’e Raza Marhoom
Salam khaak nasheenoun pah soghwaroun ka Ghareeb detey hain pursa tumhare pyaroun ka
Salam un pah jinhe sharm khaye jaati hae 
Khule saroun pah aseeri ki qaak aati hae
Salam us pah joh zehmat kashe salasil hae 
Museebatoun mein imaamat ki pehli manzil hae
Salam bhejtey hain apni shahzadi par 
Ke jisko soump gaye marte waqt ghar Sarwar
Musafirat ne jise bebasi yeh dikhlaayi 
Nisaar kar diye bachhe na bach saka bhayi
Aseer hoke jise shaamiyoun ke narghe mein 
Hussainiyat hae sikhana Ali ke lehje mein
Sakina bibi tumhare ghulam haazir hain 
Bujhe joh pyaas toh ashkoun ke jaam haazir hain
Pahaad raat badi der hae saverey mein 
Kahan ho shaame ghareeban ke ghup andheray mein
Zameene garm yateemi ki saqtiyaan bibi 
Woh seena jis pah ke so-ti thi ab kahan bibi
Yeh sin yeh hashr yeh sadmay naye naye bibi 
Kahan pa baithi ho qaime toh jal gaye bibi
Janab maadarey besheer ko bhi sab ka salaam 
Ajeeb waqt hae kya dein tassaliyoun ka payaam
Abhi kaleje mein ek aag si lagi hogi 
Abhi toh goadh ki garmi na kam huvi hogi
Na is tarah koi kheti hari bhari ujdey 
Tumhari maang bhi ujdi hae goadh bhi ujdi
Nahin andheray mein kuch soojhta kahaan dhoondein 
Tumhara chand kahan chup gaya kahan dhoondein
Nahin layeenoun mein insaan koyi Quda hafiz 
Darinde aur yeh bewaarisi Quda hafiz
Salam tum par shaheedon ke bekafan laasho 
Salam turn pah rasool-o-Batool ke pyaaro
Bachein toh aglay baras hum hain aur yeh gham phir hae 

Jo chal basein toh yeh apna salaame aaqir hae
Salam e Akhir written By Aal’e Raza Marhoom.

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home