Wednesday, 16 January 2013

pehlu bhi shikasta hai turbat bhi shikasta hai



Jan 13, '13 10:29 AM
for everyone
pehlu bhi shikasta hai turbat bhi shikasta hai
kya haal ye ummat ne zehra ka banaya hai
pehlu bhi....

khatoon koi gham se yun choor nahi dekhi
aisi kioi dunya mastoor nahi dekhi
athara baras may hi lagti jo zaeefa hai
pehlu bhi....

darbaar may zaalim ne ki aisi pazeerayi
kis tarha se tu bibi phir laut ke ghar aayi
baalon ki safedi ne sab haal sunaya hai
pehlu bhi....

tu roti rahi ghar may hyder se bhi chup chup ke
ismat ki tarha dukh bhi parde may rahe tere
kuch dard tere bibi bas jaanti fizza hai
pehlu bhi....

do aise janaze hai tareekh may jo uth-thay
bas ghar ke hi logon ne dono ko diye kaandhe
ek fatima zehra hai ek bali sakina hai
pehlu bhi....

marham tere zakhmo ka bibi na mila ab tak
aulaade umayya ki baaqi hai jafa ab tak
rone pe bhi pehra tha turbat pe bhi pehra hai
pehlu bhi....

mismaar tera rauaza ummat ne kiya jab se
baba tera rehta hai turbat pe teri tab se
kab ghumbad-e-khizra may baba tera rehta hai
pehlu bhi....

mehdi se koi pooche kya uspe guzarti hai
awaaz baqayya se jab rone ki aati hai
aankhon se lahoo rokar wo bhi yehi kehta hai
pehlu bhi....

tasveer haqeeqat ki khwabon ko banadije
ay bibi takallum ko tabeer dikhadije
matam teri turbat pe hote hue dekha hai
pehlu bhi....

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home