" WAQT NAHI "
for everyone |
" WAQT NAHI "
Har khushi Hai Logon Ke Daaman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daurti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.
Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Aankhon Me Hai Neend Bharee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.
Paison ki Daur Me Aise Doobe,
Kay Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Qadar Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Tu Hi Bata Ai Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Kay Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.........
Har khushi Hai Logon Ke Daaman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daurti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.
Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Aankhon Me Hai Neend Bharee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.
Paison ki Daur Me Aise Doobe,
Kay Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Qadar Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Tu Hi Bata Ai Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Kay Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.........
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home